teri yaaden hain jinhen dil mein basa rakkha hai
hum ne is aag ko sine mein daba rakkha hai
shahr ho dasht-e-tamanna ho ki dariya ka safar
teri taswir ko sine se laga rakkha hai
ye to mumkin hi nahin husn ka faizan na ho
ishq ne husn ko arman bana rakkha hai
kaisa suraj hai ki deta nahin zulmat ko shikast
kyun andheron ne ujalon ko daba rakkha hai
tishnagi apni miTa le ki hansnegi duniya
pi to le saghar-e-taslim-o-raza rakkha hai
haq ke lashkar mein sipahi hain bahut thoDe se
hum ne hi hausla baatil ka baDha rakkha hai
kab nikalna hai use ye bhi bata sakti hai
zulmat-e-shab ne bhi suraj ka pata rakkha hai
KHugar-e-zabt hain ruswa na karenge tujh ko
hum ne duniya se tere gham ko chhupa rakkha hai
dil jo TuTe hain unhen joD ke dikhlao 'shahid'
warna in kashf-o-karamat mein kya rakkha hai
Ghazal
Teri yaaden hain jinhen dil mein basa rakkha hai
Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri