teri ulfat ko jaga rakkha hai
dil mein tufan uTha rakkha hai
ranj-o-rahat hain gile-shikwe hain
kaisa ghar-bar saja rakkha hai
us ka ehsan ki us ke dil ne
fasla hum se sada rakkha hai
waqt kyun ret sa phisla jae
hum ne muTThi mein daba rakkha hai
samne rahte hue bhi us ne
KHud ko parde mein chhupa rakkha hai
shad har pal hain ki hum ne dil ko
KHugar-e-dard bana rakkha hai
KHar hai jis ki zaban us ne bhi
ghar ko phulon se saja rakkha hai
koi jumbish pas-e-parda ho kabhi
sar tere dar se laga rakkha hai
wo bhi kya dil hai ki jis mein 'anjum'
nam rakkha na pata rakkha hai

Ghazal
Teri ulfat ko jaga rakkha hai
Mushtaq Anjum