اردو हिंदी
Teri taswiron ko dekh pighalti hain | Shaahi Shayari
teri taswiron ko dekh pighalti hain

Ghazal

Teri taswiron ko dekh pighalti hain

Amit Sharma Meet

;

teri taswiron ko dekh pighalti hain
ab ye aankhen hum se nahin sambhalti hain

har din chehra alag tarah ka hota hai
gham ki shaklen bhi to rose badalti hain

in KHwabon ka sach hona kya mumkin hai
jin ke KHatir aankhen meri jalti hain

jaane kis ka lahja us par hawi hai
us ki baaten ab angar ugalti hain

dil ke qabristan ka yaron kya kahna
lashen bas jazbaat ki is mein palti hain

jab tak hun main zinda milne aa jao
lamha lamha sansen rose nikalti hain

ummidon ka suraj rose nikalta hai
sham ke jaisi 'mit' umiden Dhalti hain