teri surat ko dekhta hun main
us ki qudrat ko dekhta hun main
jab hui subh aa gae naseh
unhin hazrat ko dekhta hun main
wo musibat suni nahin jati
jis musibat ko dekhta hun main
dekhne aae hain jo meri nabz
un ki surat ko dekhta hun main
maut mujh ko dikhai deti hai
jab tabiat ko dekhta hun main
shab-e-furqat uTha uTha kar sar
subh-e-ishrat ko dekhta hun main
dur baiTha hua sar-e-mahfil
rang-e-sohbat ko dekhta hun main
har musibat hai be-maza shab-e-gham
aafat aafat ko dekhta hun main
na mohabbat ko jaante ho tum
na murawwat ko dekhta hun main
koi dushman ko yun na dekhega
jaise qismat ko dekhta hun main
hashr mein 'dagh' koi dost nahin
sari KHilqat ko dekhta hun main
Ghazal
Teri surat ko dekhta hun main
Dagh Dehlvi