teri ruh mein sannaTa hai aur meri aawaz mein chup
tu apne andaz mein chup hai main apne andaz mein chup
gahe gahe sanson ki aawaz sunai deti hai
gahe gahe bach uThti hai dil ke shikasta-saz mein chup
sannaTe ke zahr mein bujhte logon ko ye kaun batae
jitna uncha bol rahe hain utni hai aawaz mein chup
ek muddat se KHushk paDa hai wo jharna angDai ka
jaane kis ne bhar di hai us paikar-e-naghma-saz mein chup
rag rag mein jab KHun ki bunden bulbul ban kar chahak uThin
phir dil-e-'hafiz' kyun kar sadhe sine ke shiraaz mein chup
Ghazal
Teri ruh mein sannaTa hai aur meri aawaz mein chup
Abbas Tabish