teri nigah-e-naz jo nawak-asar na ho
taklif-e-chaara-sazi-e-zaKHm-e-jigar na ho
mujh se bhi kuchh siwa hai unhen meri aarzu
ye shauq wo nahin jo udhar ho idhar na ho
main aur mujh ko wada-e-didar ki umid
wo chahta hun aaj ki jo umr bhar na ho
ai barq-e-husn-e-yar zara chashm-e-iltifat
yun jal bujhun ki mujh ko bhi meri KHabar na ho
kabe mein hai nishan na kahin dair mein pata
teri gali mein 'muztar'-e-ashufta-sar na ho
Ghazal
Teri nigah-e-naz jo nawak-asar na ho
Hakeem Asad Ali Khan muztar