tir nazron mein to abru mein kaman DhunDta hun
us ki aankhon mein gai rut ke nishan DhunDta hun
nashsha-e-qurb se baDh kar hai teri khoj mujhe
tu jahan mil na sake tujh ko wahan DhunDta hun
taza warid hun miyan aur ye shahr-e-dil hai
kuchh kamane ko yahan kar-e-ziyan DhunDta hun
shak ki be-samt masafat hi mujhe mar na de
jo yaqin mujh ko dila de wo guman DhunDta hun
apne andar mujhe karbal ka saman lagta hai
sar-bulandi ke liye nok-e-sinan DhunDta hun
asr-e-hazir bhi lage harf-e-mukarrar 'jazib'
apne hone ke liye taza jahan DhunDta hun

Ghazal
Teri nazron mein to abru mein kaman DhunDta hun
Shakeel Jazib