teri nazar ke samne ye dil nahin raha
aaina aaine ke muqabil nahin raha
achchha hua ki waqt se pahle bichhaD gaya
barbaadiyon mein tu meri shamil nahin raha
mujh ko samajh raha tha jo mazi ki ek kitab
wo bhi nae nisab mein shamil nahin raha
lauT aain phir se kashtiyan tufan se haar kar
viran bahut dinon mera sahil nahin raha
munsif ki ungliyon ke nishan KHanjaron pe hain
ab koi apne shahr mein qatil nahin raha
har ek qadam pe rakkha hai dil ka bahut KHayal
us ki taraf se mein kabhi ghafil nahin raha
raqsan hai chaara-gar ke ishaaron pe aaj-kal
ab dil bhi e'tibar ke qabil nahin raha
Ghazal
Teri nazar ke samne ye dil nahin raha
Shakeel Shamsi