teri marzi ke KHad-o-KHal mein Dhalta hua main
KHak se aab na ho jaun pighalta hua main
ai KHizan main tujhe KHush-rang bana sakta tha
tujh se dekha na gaya phulta-phalta hua main
mujh ko mangi hui izzat nahin puri aati
TuT jaun na ye poshak badalta hua main
shobada-gar nahin mehman-e-saf-e-yaran hun
zahr pita hua aur shahd ugalta hua main
yam-ba-yam ruh machalti hui machhli ki tarah
dam-ba-dam waqt ke hathon se phisalta hua main
ab meri rakh uDa ya mujhe aaankhon se laga
tujh talak aa gaya hun aag pe chalta hua main
kah rahi hain mujhe wo hausla-afzan aankhen
ruh tak jaun KHad-o-KHal masalta hua main
ho na ho ek hi taswir ke do pahlu hain
raqs karta hua tu aag mein jalta hua main
kar-e-darweshi jaza-yab hai lekin 'shahid'
KHush nahin KHalwat-e-KHali se bahalta hua main
Ghazal
Teri marzi ke KHad-o-Khaal mein Dhalta hua main
Shahid Zaki

