teri KHwahish na jab ziyaada thi
zindagi jaise be-libaada thi
is liye mujh ko mil gai manzil
meri KHwahish mera irada thi
ek titli jale paron wali
bas wahi mera KHanwada thi
main ne dekha hai wo nagar bhi jahan
raushni kam nazar ziyaada thi
chal ke ek umr mujh pe raaz khula
meri manzil hi mera jada thi
jis mein rahte the sab mohabbat se
wo haweli bhi kya kushada thi
dur tha is liye mahaz se main
fauj meri ki pa-piyaada thi
sang tha ya ki raste mein 'nabil'
koi diwar istada thi

Ghazal
Teri KHwahish na jab ziyaada thi
Nabeel Ahmad Nabeel