teri KHatir ye fusun hum ne jaga rakkha hai
warna aaraish-e-afkar mein kya rakkha hai
hai tera aks hi aaina-e-dil ki zinat
ek taswir se album ko saja rakkha hai
barg-e-sad-chaak ka parda hai shagufta gul se
qahqahon se kai zaKHmon ko chhupa rakkha hai
ab na bhaTkenge musafir nai naslon ke kabhi
hum ne rahon mein lahu apna jala rakkha hai
hum se insan ki KHajalat nahin dekhi jati
kam-sawadon ka bharam hum ne rawa rakkha hai
kis qayamat ka hai didar tera wada-shikan
dil-e-betab ne ek hashr uTha rakkha hai
koi mushkil nahin pahchan hamari 'farigh'
apni KHushbu ka safar hum ne juda rakkha hai
Ghazal
Teri KHatir ye fusun humne jaga rakkha hai
Farigh Bukhari