teri jaanib se mujh pe kya na hua
KHair guzri ki tu KHuda na hua
kyun tera aashna adu Thahre
jab tere gham se aashna na hua
mar ke us ki gali ki KHak hua
main fana ho ke bhi fana na hua
mar Dala mujhe adu ke liye
haif tu sabr-azma na hawa
chhuTta kya tumhaare hathon se
KHun-e-ahl-e-wafa hina na hua
aa nikalta wo mere kuche mein
tujh se itna bhi ai dua na hua
koi parwa nahin kaminon ki
aasman mehrban hua na hua
ab sitam ghair par wo karte hain
mera marna mujhe bura na hua
ai 'asar' tujh ko phir gila kya hai
jab kisi ka wo be-wafa na hua
Ghazal
Teri jaanib se mujh pe kya na hua
Imdad Imam Asar