teri duniya ki kaj-adai se
laD raha hun bhari KHudai se
husn hai aap apni aaraish
husn ghaTta hai KHud-numai se
hum ne qadmon ko dur rakkha hai
har badi se har ek burai se
dil hi TuTa hai kuchh nahin bigDa
aap ki tarz-e-bewafai se
bad-gumani ka daur hai 'abid'
bhai hai bad-guman bhai se
Ghazal
Teri duniya ki kaj-adai se
Abid Wadood