اردو हिंदी
Teri aankhon ka ajab turfa saman dekha hai | Shaahi Shayari
teri aankhon ka ajab turfa saman dekha hai

Ghazal

Teri aankhon ka ajab turfa saman dekha hai

Habib Jalib

;

teri aankhon ka ajab turfa saman dekha hai
ek aalam teri jaanib nigran dekha hai

kitne anwar simaT aae hain in aankhon mein
ek tabassum tere honTon pe rawan dekha hai

hum ko aawara o bekar samajhne walo
tum ne kab is but-e-kafir ko jawan dekha hai

sehn-e-gulshan mein ki anjum ki tarab-gahon mein
tum ko dekha hai kahin jaane kahan dekha hai

wahi aawara o diwana o aashufta-mizaj
hum ne 'jalib' ko sar-e-ku-e-butan dekha hai