tere wade ko kabhi jhuT nahin samjhunga
aaj ki raat bhi darwaza khula rakkhunga
dekhne ke liye ek chehra bahut hota hai
aankh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhunga
meri tanhai ki ruswai ki manzil aai
wasl ke lamhe se main hijr ki shab badlunga
sham hote hi khuli saDkon ki yaad aati hai
sochta roz hun main ghar se nahin niklunga
ta-ki mahfuz rahe mere qalam ki hurmat
sach mujhe likhna hai main husn ko sach likkhunga
Ghazal
Tere wade ko kabhi jhuT nahin samjhunga
Shahryar