tere qadmon ki aahaT ko tarsa hun
main bhi tera bhula hua ek rasta hun
bite lamhon ke jhonke jab aate hain
pal do pal ko main phir se khil uThta hun
mujh se muzhda nai ruton ka paoge
yaro main is peD ka antim patta hun
shayad tum bhi ab na mujhe pahchan sako
ab main KHud ko apne jaisa lagta hun
aaj ke kale sae kal tak phailenge
mere bachcho main is baat se Darta hun
tum bhi kaise DhunD sakoge ab mujh ko
main KHud apne-ap se ojhal rahta hun
sayon ki KHwahish ne mujhe jalaya hai
ab main in ke nam se tapne lagta hun
mujh se mil kar kis ko yaqin ab aaega
main bhi tera TuTa hua ek rishta hun
Ghazal
Tere qadmon ki aahaT ko tarsa hun
Azad Gulati