tere palaT aane se dil ko aur ek sadma hua
wo naqsh ab baqi kahan jo tha tera chhoDa hua
yun aaj aaine se mil kar jism sannaTe mein hai
ek aur hi chehra tha is mein kal talak hansta hua
donon kahin mil baiTh kar bah jaen pal bhar ke liye
is waqt se haT kar ke ho dariya koi bahta hua
mashkuk aankhon se nikalte hain bichhaDne ke sile
tu soch le mil jaunga main to yahin Thahra hua
shair kahan tha sirf tha jazbaat ka taj-e-tapish
sahil ki sukhi ret mein aksar yahi charcha hua
Ghazal
Tere palaT aane se dil ko aur ek sadma hua
Moni Gopal Tapish