اردو हिंदी
Tere honThon ke tabassum ka talabgar hun main | Shaahi Shayari
tere honThon ke tabassum ka talabgar hun main

Ghazal

Tere honThon ke tabassum ka talabgar hun main

Mehshar Afridi

;

tere honThon ke tabassum ka talabgar hun main
apne gham bech de raddi ka KHaridar hun main

meri haalat pe takabbur nahin afsos bhi kar
tera aashiq nahin jaanan tera bimar hun main

kal teri hosh-ruhai se hua tha aazad
aaj phir ek nae jadu mein giraftar hun main

in dinon yun ki tera ishq garan hai mujh par
be-dili aisi ke apne se hi bezar hun main

mere har gham ki kifalat bhi mera zimma hai
apne gham-KHana-e-hasti ka azadar hun main

hanste hanste meri aankhon mein nami aa gai hai
tu ne dekha nahin kis darja adakar hun main