tere diwane teri chashm o nazar se pahle
dar se guzre teri rahguzar se pahle
bazm se dur wo gata raha tanha tanha
so gaya saz pe sar rakh ke sahar se pahle
is andhere mein ujalon ka guman tak bhi na tha
shoala-ru shoala-nawa shola-nazar se pahle
kaun jaane ki ho kya rang-e-sahar rang-e-chaman
mai-kada raqs mein hai pichhle pahar se pahle
nikhat-e-yar se aabaad hai har kunj-e-qafas
mil ke aai hai saba us gul-e-tar se pahle
Ghazal
Tere diwane teri chashm o nazar se pahle
Makhdoom Mohiuddin