tere bhi munh ki raushni raat gai thi mah se mil
tab se tab ruKH se ruKH nur se nur zil se zil
yusuf-e-misr se magar milte hain sab tere nishan
zulf se zulf lab se lab chashm se chashm til se til
jitne hain kushtagan-e-ishq un ke azal se hain mile
ashk se ashk nam se nam KHun se KHun gil se gil
jab se mua hai kohkan karte hain us ka gham sada
koh se koh ju se ju sang se sang sil se sil
yar mila jab ai 'nazir' mere gale, to mil gae
jism se jism jaan se jaan ruh se ruh dil se dil

Ghazal
Tere bhi munh ki raushni raat gai thi mah se mil
Nazeer Akbarabadi