اردو हिंदी
Tere altaf ka lutf uThate rahe | Shaahi Shayari
tere altaf ka lutf uThate rahe

Ghazal

Tere altaf ka lutf uThate rahe

Yashpal Gupta

;

tere altaf ka lutf uThate rahe
nur barsa kiya hum nahate rahe

kaun tha wo KHudaya KHuda ka jamal
man hi man mein paheli bujhate rahe

ye samajh kar faqiri hi mein hai KHuda
gun hamesha faqiron ke gate rahe

raaz haq-ashna ka khula jab kabhi
baadshah tak huzuri mein aate rahe

hum ne sahra mein tanha jalaya diya
phir sada aandhiyon se bachate rahe

sabr ki justuju mein phire dar-ba-dar
'yash' gadagar se ye faiz pate rahe