اردو हिंदी
Tere aalam ka yar kya kahna | Shaahi Shayari
tere aalam ka yar kya kahna

Ghazal

Tere aalam ka yar kya kahna

Agha Hajju Sharaf

;

tere aalam ka yar kya kahna
har taraf hai pukar kya kahna

uff na ki dard-e-hijr zabt kiya
ai dil-e-be-qarar kya kahna

wada-e-wasl un se lun kyun-kar
mera kya iKHtiyar kya kahna

kya hi nairangiyan dikhai hain
mere bagh-o-bahaar kya kahna

kaise aashiq hain un se jab puchha
bole be-iKHtiyar kya kahna

musht par bhi gulon ke gard rahe
aafrin ai hazar kya kahna

tirchhi nazren chhuri kaTari hain
chashm-e-bad-dur yar kya kahna

gulshanon mein ye rang-rup kaha
la-jawab ai nigar kya kahna

dam-e-isa ko mat karti hai
ai nasim-e-bahaar kya kahna

imtihan kar chuke to wo bole
ai mere jaan-nisar kya kahna

us ke kuche mein baiTh kar na uTha
wah mere ghubar kya kahna

jaante hain ki jaan doge 'sharaf'
us ko phir bar bar kya kahna