اردو हिंदी
Tera KHayal teri tamanna tak aa gaya | Shaahi Shayari
tera KHayal teri tamanna tak aa gaya

Ghazal

Tera KHayal teri tamanna tak aa gaya

Kashif Husain Ghair

;

tera KHayal teri tamanna tak aa gaya
main dil ko DhunDhta hua duniya tak aa gaya

kya itna baDh gaya meri tishna-labi ka shor
sailab dekhne mujhe sahra tak aa gaya

lekin KHizan ki nazr kiya aaKHiri gulab
har-chand is mein mujh ko pasina tak aa gaya

aage rah-e-firaq mein aana hai aur kya
aankhon ke aage aaj andhera tak aa gaya

kya irtiqa-pazir hai insan ka zamir
rishton ko chhoD-chhaD ke ashya tak aa gaya

lekin kisi dariche se jhanka na koi raat
sun kar meri pukar sitara tak aa gaya

'kashif'-husain yar uTho ab to chal paDo
chal kar tumhaare panw mein rasta tak aa gaya