tazad achchha nahin tarz-e-bayan ka hum zabanon mein 
haqiqat ko chhupata ja raha hun dastanon mein 
sabhi to aaj bargashta hain azmat-soz pasti se 
macha rakkhi hai ek halchal zamin ne aasmanon mein 
samajhta hun main be-mafhum si aawaz shikwe ko 
musibat KHud madad karti hai aa kar imtihanon mein 
mera aaina-e-ehsas hairan ho nahin sakta 
yaqin ka nur paida kar hi leta hai gumanon mein 
bana rakha hai bad-tar az qafas KHauf-e-asiri ne 
siwa tinkon ke ab kya rah gaya hai aashiyanon mein 
naya ek mabad-e-ummid bhi tamir karna hai 
anadil moatakif kab tak rahengi gulistanon mein 
meri nairangiyan chhane lagi hain rang-e-mahfil par 
bahut kuchh farq 'yaqub' aa chala hai dastanon mein
        Ghazal
Tazad achchha nahin tarz-e-bayan ka hum zabanon mein
Yaqoob Usmani

