tauf-e-haram na der ki gahraiyon mein hai
jo lutf un ke dar ki jabin-saiyon mein hai
hairat nigah-e-shauq ki paspaiyon mein hai
jalwa ba-zat-e-KHud hi tamashaiyon mein hai
zahir ye kar rahi hain shab-e-gham ki nuzhaten
koi chhupa hua meri tanhaiyon mein hai
duniya-e-rang-o-bu se guzar kar pata chala
poshida koi ruh ki gahraiyon mein hai
pata hun un ko har nafas-e-iztirab mein
mauj-e-sakun bhi dur ki angDaiyon mein hai
mera junun-e-shauq hi kyun ho qusur-war
shamil teri nigah bhi ruswaiyon mein hai
ai sham-e-pur-ghurur zara ghaur se tu dekh
ye kis ki raushni teri parchhaiyon mein hai
is ke liye 'shakil' KHizan kya bahaar kya
Duba hua jo husn ki ranaiyon mein hai
Ghazal
Tauf-e-haram na der ki gahraiyon mein hai
Shakeel Badayuni