tauba ka takalluf kaun kare haalat ki niyyat Thik nahin
rahmat ka irada bigDa hai barsat ki niyyat Thik nahin
ai shama bachana daman ko ismat se mohabbat arzan hai
aaluda-nazar parwanon ke jazbaat ki niyyat Thik nahin
kal qata talluq kar lena is waqt to duniya meri hai
ye raat ki qasmen jhuTi hain ye raat ki niyyat Thik nahin
aisa nazar aata hai jaise ye shai mujhe pagal kar degi
thoDi si tawajjoh bar-haq hai bohtat ki niyyat Thik nahin
raftar-e-zamana ka lahja saffak dikhai deta hai
bar-waqt koi tadbir karo aafat ki niyyat Thik nahin
mai-KHane ki rasm-o-rah mein bhi ho jae na shamil khoT kahen
KHuddam fareb-amada hain KHidmat ki niyyat Thik nahin
thoDa sa kaDa gar dil ko karun aadat badal to sakti hain
par asl musibat to ye hai aadat ki niyyat Thik nahin
Darta hun 'adam' phir aaj kahin shoala na uThe bijli na gire
barbat ki tabiat uljhi hai naghmat ki niyyat Thik nahin
Ghazal
Tauba ka takalluf kaun kare haalat ki niyyat Thik nahin
Abdul Hamid Adam