tasawwuraat ki duniya sajae baiThe hain
kisi ki aas ko dil se lagae baiThe hain
fareb umr do roza ka khae baiThe hain
bataen kya ki jo sadma uThae baiThe hain
na jaane kis ghaDi aa jaen DhunDte hum ko
charagh din mein bhi dar par jalae baiThe hain
suna hai jab se duaen qubul hoti hain
dua ko hath hum apne uThae baiThe hain
wo aa rahe hain koi kah raha hai kanon mein
charagh did ka hum to bujhae baiThe hain
gharib-KHane ki sari faza moattar hai
ye lag raha hai wo aae hain aae baiThe hain
na puchh kaise shab-e-intizar guzri hai
na chheD hum ko saba hum satae baiThe hain
KHabar kahan hai zamane ki 'soz' hum us ko
kisi ke ishq mein KHud ko bhulae baiThe hain

Ghazal
Tasawwuraat ki duniya sajae baiThe hain
Sardar Soz