tasawwur se nazare tak farogh-e-sehr-e-hairat hai
haqiqat bhi fasana hai fasana bhi haqiqat hai
kisi par jaan dena be-niyaz-e-mudda ho kar
yahi jazba mere nazdik mearaj-e-mohabbat hai
zaban par aa ke jo harf-o-hikayat se guzar jae
na jaane kyun wahi baat un se kahne ki zarurat hai
sawal uThta nahin koi yahan hadd-e-tayyun ka
wahan tak justuju bhi hai jahan tak husn-e-fitrat hai
jise aata nahin parwana-e-sham-e-watan hona
wo nang-e-admiyat hai adu-e-qaum-o-millat hai
hum apni zindagi ki har KHushi ko kyun na gham samjhen
jo tere gham ka hasil hai usi ka nam rahat hai
mazaq-e-zindagi ko hai shuur-e-zindagi lazim
wahan jine mein rahat hai jahan marna saadat hai
hamare haal ki kya puchhte ho kya bataen hum
hamara haal jo kuchh hai tumhaari hi inayat hai
dil-e-shaista-e-gham ne laga rakkhi hai sine se
hazar un ki nazar ghaarat-gar-e-aram-o-rahat hai
'rishi' nakaam sai-e-justuju hai zauq-e-nazzara
nazar aawara fitrat hai jahan jalwon ki kasrat hai
Ghazal
Tasawwur se nazare tak farogh-e-sehr-e-hairat hai
Rishi Patialvi

