اردو हिंदी
Tarz-e-izhaar mein koi to naya-pan hota | Shaahi Shayari
tarz-e-izhaar mein koi to naya-pan hota

Ghazal

Tarz-e-izhaar mein koi to naya-pan hota

Saleem Shahid

;

tarz-e-izhaar mein koi to naya-pan hota
dard rangin badan shishe ka bartan hota

kis liye roz badalta hun main malbus naya
aisa kachcha to na us naqsh ka roghan hota

pair kamre se nikale to main bazar mein tha
hai ye hasrat ki mere ghar ka bhi aangan hota

aanch mil jati jo kuchh aur to jauhar khulte
tum jise rakh samajhte ho wo kundan hota

kuchh zamin ki hai ye tasir ki chehre hain hasin
shahr gar shahr na hota koi gulshan hota

main bhaTakta na kabhi raat ki tariki mein
aise sunsan mein ghar tha to wo raushan hota