tark-e-wafa garche sadaqat nahin
par ye sitam sahne ki taqat nahin
tark kar apna bhi ki is rah mein
har koi shayan-e-rifaqat nahin
koi dawa mujh se ki karta hai lek
ab ke tabibon mein hazaqat nahin
kasb-e-hunar kar na ki is waqt mein
is se baDi aur himaqat nahin
nam hi 'qaem' ka gaya hai nikal
warna kuchh itni to liyaqat nahin

Ghazal
Tark-e-wafa garche sadaqat nahin
Qayem Chandpuri