tark-e-ulfat mein koi yakta na tha
main akela tha magar tanha na tha
bagh tha lekin tera chehra na tha
KHema-e-gul mein koi rahta na tha
jis mohabbat se teri shohrat hui
is mein shayad kuchh tera hissa na tha
dil ko viran kar gaya zehni shuur
dard tha par dard ka yara na tha
kuchh mere kirdar mein likkha tha gham
kuchh mera radd-e-amal beja na tha
ghar bana lenge kisi basti mein aur
hum ne is maqsad se ghar chhoDa na tha
dosti par jis ki mujh ko naz ho
dost mera ek bhi aisa na tha
husn tera umr-bhar likhte rahe
sher mera ek bhi tujh sa na tha
muddaton main ne shikayat tak na ki
muddaton wo mere pas aata na tha
ab to har ek dost ka kahna paDa
mujh se behtar tha magar mujh sa na tha
jis ko dohraata raha barson 'munir'
us ke apne dard ka qissa na tha

Ghazal
Tark-e-ulfat mein koi yakta na tha
Syed Muneer