tark-e-lazzat pe mail jo ba-zahir hai mizaj
aaj to bagula-bhagat jaise bane hain mahraj
husn-e-maghrur o siyah-fam ka kaise ho ilaj
shakl-o-surat to chuDelon ki hai pariyon ke mizaj
chhoD aae haram-e-pak mein jins-e-iman
lad kar la na sake jab ki watan tak hujjaj
aise bhi bani-e-be-dad hain kuchh duniya mein
falak-e-pir bhi deta hai jinhen jhuk ke KHiraj
husn ki jitni zamin hoti hai na-qabil-e-kasht
ishq paida kiya karta hai sada sab mein anaj
sab kuchh allah ne de rakkha hai mal-o-zar-o-sim
hain magar ahl-e-duwal aql-o-KHirad ke muhtaj
is ke aain nahin ab jo amal ke qabil
to ise kar do retire ki purana hai samaj
jab kabhi log taraqqi ki taraf baDhte hain
Tang uDa dete hain kambaKHt yahi rasm-o-riwaj
hae kya puchhte ho murda dilon ka ahwal
miyan zinda hain magar bewa hain un ki azwaj
na-KHudai kiya karta hai talatum KHud hi
kheti hain aap hi aa kar meri kashti amwaj
chain se shaiKH-e-haram umr basar karte hain
rupaya bank mein hai milta hai mahana byaj
kag uD uD ke ye botal ke sada dete hain
nashsha-bandi ki suna hai koi meeting hai aaj
ab tu jo chahe kare ishq-e-watan mein ai 'shauq'
husn kuchh bol nahin sakta hai de kar sauraj

Ghazal
Tark-e-lazzat pe mail jo ba-zahir hai mizaj
Shauq Bahraichi