اردو हिंदी
Tarjumani-e-gham-e-zist ka mausam bhi nahin | Shaahi Shayari
tarjumani-e-gham-e-zist ka mausam bhi nahin

Ghazal

Tarjumani-e-gham-e-zist ka mausam bhi nahin

Sajida Zaidi

;

tarjumani-e-gham-e-zist ka mausam bhi nahin
shoala-e-gham bhi nahin mauj-e-tabassum bhi nahin

koi unwan koi surat nahin wajh-e-taskin
wahshat-e-dil ki dawa jaan-e-jahan tum bhi nahin

pa-ba-zanjir hui jati hai parwaz-e-KHayal
dil ki aawaz mein jazbon ka tarannum bhi nahin

phir ye kya shai hai jo rakhti hai hirasan shab-o-roz
bahr-e-ehsas ki maujon mein talatum bhi nahin