اردو हिंदी
Tariqat mein agar zahid mujhe gumrah jaane hai | Shaahi Shayari
tariqat mein agar zahid mujhe gumrah jaane hai

Ghazal

Tariqat mein agar zahid mujhe gumrah jaane hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

tariqat mein agar zahid mujhe gumrah jaane hai
mere dil ki haqiqat ko mera allah jaane hai

wo be-parwa mera kab imtiyaz-e-chah jaane hai
meri haalat ko dil aur dil ki haalat aah jaane hai

use jo dekhta hai din ko so KHurshid jaane hai
jo ghar se raat ko nikle to aalam mah jaane hai

hamari baat ko wo aaqibat-na-fahm kya mane
jo bad-KHwahon ko apne apna daulat-KHwah jaane hai

mera dil bar-e-ishq aisa uThane mein dilawar hai
jo us ke koh dun sar par to us ko kah jaane hai

hamein dair o haram shaiKH o barhaman se nahin matlab
hamara dil to apne dil ko baitullah jaane hai

wo wahshi is qadar bhaDka hai surat se mere yaro
ki apne dekh sae ko mujhe hamrah jaane hai

kahen hum bahr-e-be-payan-e-gham ki mahiyat kis se
na lahron se koi waqif na koi thah jaane hai

KHuda ke waste insaf kijo kya tamasha hai
main us ka KHair-KHwah aur wo mujhe bad-KHwah jaane hai

agar wo fitna jo tujh se mile 'hatim' to kah dijo
ki mansube tere sab banda-e-dargah jaane hai