tariq-e-ishq mein barbaad hona paDta hai
gulon ki chah mein kanTon pe sona paDta hai
bas ek lamha-e-raaz-o-niyaz ki KHatir
bashar ko muddaton chhup-chhup ke rona paDta hai
zamir bech ke mansab to mil hi jaega
waqar pahle magar is mein khona paDta hai
hai bad-lihaz ye duniya koi kahan jae
qadam qadam pe yahan KHwar hona paDta hai
ye faqa-kash ki jinhen haif KHud-farebi mein
shikam ki seri ko pani bilona paDta hai
maashre ka ho nasur ya badan ka ghaw
ilaj ke liye nashtar chubhona paDta hai
pasare hath to phirte ho mal-o-zar ke liye
bil-aKHir un se magar hath dhona paDta hai
parae dard mein hota nahin sharik koi
ghamon ke bojh ko KHud aap Dhona paDta hai
ye sach hai 'chand' shagufta ghazal jo kahni ho
qalam ko KHun-e-jigar mein Dubona paDta hai
Ghazal
Tariq-e-ishq mein barbaad hona paDta hai
Mahendra Partap Chand