tarab se ho aaya hun aur yas ki tah tak Dub chuka hun
dur hun apni khoj se ab tak kab se KHud ko DhunD raha hun
main hun ye ghaTta phailta saya main ye kaise ho sakta hun
waqt ke sayyal aaine mein kaun hai kis ko dekh raha hun
dil ke kisi pinhan goshe mein an-jaani koi haar chhipi hai
jaan tapak hain teri baaten main be-baat bhaTak jata hun
dekhte dekhte tera chehra aur ek chehra ban jata hai
ek manus malul sa chehra kab dekha tha bhul gaya hun
ek lamhe ne mujh se kaha tha tu hi azal hai tu hi abad hai
lamha bita baat gai is KHwab se kab ka chaunk uTha hun
dida-e-wa ke damakte KHwabo mere sath chaloge kab tak
tum ki wafur-e-rang-o-nawa ho main ki shikast-e-dil ki sada hun
KHak uDti hai lab-bosi ko tare aankh ko chhu lete hain
qurb ka KHwahan mujh se zamana main tanha hun main tanha hun
Ghazal
Tarab se ho aaya hun aur yas ki tah tak Dub chuka hun
Hameed Naseem