tarab-KHanon ke naghme gham-kadon ko bha nahin sakte
hum apne jam mein apna lahu chhalka nahin sakte
chaman wale KHizan ke nam se ghabra nahin sakte
kuchh aise phul bhi khilte hain jo murjha nahin sakte
nigahen sath deti hain to sunte hain wo afsane
jo palkon se jhalakte hain zaban par aa nahin sakte
ab aa kar laj bhi rakh le KHizan-dida bahaaron ki
ye diwane fasanon se to ji bahla nahin sakte
kuchh aisi dukh-bhari baaten bhi hoti hain mohabbat mein
jinhen mahsus karte hain magar samjha nahin sakte
chalo pabandi-e-fariyaad bhi hum ko gawara hai
magar wo git jo hum muskura kar ga nahin sakte
hamein patwar apne hath mein lene paDen shayad
ye kaise naKHuda hain jo bhanwar tak ja nahin sakte
Ghazal
Tarab-KHanon ke naghme gham-kadon ko bha nahin sakte
Qateel Shifai