اردو हिंदी
Taqsim tazkire ko main kaise raqam karun | Shaahi Shayari
taqsim tazkire ko main kaise raqam karun

Ghazal

Taqsim tazkire ko main kaise raqam karun

Pawan Kumar

;

taqsim tazkire ko main kaise raqam karun
tanhaiyon mein baiThun ki aankhon ko nam karun

hirs-o-hawas ke sath bhi fani hai zindagi
kya is ke waste koi saman baham karun

baDhne laga hai silsila-e-etimad phir
is silsile ko aur baDhaun ki kam karun

tu phir se aa gaya hai meri zindagi mein dost
is baat ka main lutf uThaun ki gham karun

maqsad hai mere samne apni shanaKHt ka
pamal raston ko main kyun ham-qadam karun