taqdir ke darbar mein alqab paDe the
hum log magar KHwab mein be-KHwab paDe the
yaKH-basta hawaon mein thi KHamosh haqiqat
hum soch ki dahliz pe betab paDe the
taswir thi ehsas ki tahrir hawa ki
sahra mein tere aks ke girdab paDe the
kal raat mein jis rah se ghar lauT ke aaya
us rah mein bikhre hue kuchh KHwab paDe the
wo phul jinhen aap ne dekha tha ada se
ujDe hue mausam mein bhi shadab paDe the
pachchis baras baad use dekh ke socha
ek qatra-e-kam-zat mein gharqab paDe the
hum log to aKHlaq bhi rakh aae hain 'sahil'
raddi ke isi Dher mein aadab paDe the
Ghazal
Taqdir ke darbar mein alqab paDe the
KHalid Malik u0027Sahilu0027