taqdir ke aage kabhi tadbir kisi ki
chalti ho to samjhe koi taqsir kisi ki
ab ek tamanna ho to puri koi kar de
yun kaun badal sakta hai taqdir kisi ki
dil mein utar aai hai nigahon se simaT kar
kis darja haya-kosh hai taswir kisi ki
wo aaen na aaen mujhe nind aa nahin sakti
sunta hi nahin nala-e-shab-gir kisi ki
barsat ka ek KHwab hai mustaqbil-e-tarik
bikhri hui si zulf-e-girah-gir kisi ki
allah ye tarik fazaen ye ghaTaen
ye barq-e-KHayalat mein taswir kisi ki
aankhen meri aankhen hain zahe joshish-e-girya
dhul dhul ke nikhar aai hai taswir kisi ki
'talib' tere jazbaat ki tashrih to kar dun
Dar hai kabhi ho jae na tashhir kisi ki

Ghazal
Taqdir ke aage kabhi tadbir kisi ki
Talib Baghpati