tanhai tamir karegi ghar se behtar ek zindan
baam-o-dar nahin honge lekin hoga jine ka saman
kisi KHayal ki sarshaari mein jari-o-sari yari mein
apne-ap koi aaega aur ban jaega mehman
jiwan paikar dhul jaenge jis mein gunah o sawab samet
aansu paida kar hi denge aisi barish ka imkan
ashkon ki bunda-bandi mein qaus-e-quzah ke rangon se
ek aisi taswir bani hai sari duniya hai hairan
hairani zanjir karegi har pal nai kahani ko
aur 'zafar' sab kirdaron mein ek din paD jaegi jaan
Ghazal
Tanhai tamir karegi ghar se behtar ek zindan
Sabir Zafar