tanhai mili mujh ko zarurat se ziyaada
paDhti hain kitaben mujhe wahshat se ziyaada
jo mang rahe ho wo mere bas mein nahin hai
darKHwast tumhaari hai zarurat se ziyaada
mumkin hai meri sans ukhaD jae kisi pal
ye rasta hai meri masafat se ziyaada
aae hain paDosi mere ghar le ke shikayat
baaton mein wo talKHi hai ki nafrat se ziyaada
ye atlas o kam-KHwab dikhate ho abas tum
shair ko nahin chahiye shohrat se ziyaada
Ghazal
Tanhai mili mujhko zarurat se ziyaada
Jamal Owaisi