اردو हिंदी
Tanhai ki qabr se uTh kar main saDkon par kho jata hun | Shaahi Shayari
tanhai ki qabr se uTh kar main saDkon par kho jata hun

Ghazal

Tanhai ki qabr se uTh kar main saDkon par kho jata hun

Yusuf Azmi

;

tanhai ki qabr se uTh kar main saDkon par kho jata hun
chehron ke gahre sagar mein murda aankhen phenk aata hun

main koi bargad to nahin hun sadiyon Thahrun is dharti par
dhund mein lipTe KHwabon ka qad lamha lamha nap raha hun

wo to jhuT ki chadar oDhe phaila sagar phand chuka hai
main hi sach ki mala japte is dharti mein Dub raha hun

pani ki maujon pe likkhi hai lamhon ki be-ruh kahani
kya paya hai kya khoya hai main sadiyon se khoj raha hun

'azmi' apni ye duniya ho jaise koi bhul-bhulayyan
dhund mein lipTe KHwabon hi se aankh-micholi khel raha hun