tanhai ki KHalij hai yun darmiyan mein
har shaKHs jaise qaid ho andhe makan mein
us ke labon pe sat-samundar ka aks tha
sadiyon ki pyas jazb thi meri zaban mein
aai agar ghaTa use suraj ne kha liya
ab ke baras bhi aag lagi aasman mein
Takra ke iKHtilaf ki diwar toD di
ziddi tha sar-buland hua KHandan mein
yun bhi dahakte dasht se kya kam thi zindagi
be-kar dhup kud paDi darmiyan mein
behtar hai apne-ap se kuchh bolte raho
yun chup rahe to zang lagega zaban mein
Ghazal
Tanhai ki KHalij hai yun darmiyan mein
Sultan Akhtar

