tanhai ka gham Dhoen aur ro ro ji halkan karen
is se behtar hoga ki wo mashq-e-tir-e-kaman karen
waqt ka rona rone wale waqt ko zae karte hain
palkon se lamhon ki kirchen chunne ka saman karen
saDkon ke chaurahon par jin ko tanhai ghere ho
us simabi duniya mein kyun jine ka arman karen
bahar ki duniya mein jin ko jins-e-wafa nayab lage
apne andar ke but-KHanon ko pahle viran karen
suraj ki sat-rangi kirnen pyas bujhane aati hain
saton sakhiyan phul-badan jab ganga mein ashnan karen
jo dharti ki shah-rag kaTen shiryanon mein zahr bharen
is murakh nagri ke bashi un hi ke gun-gan karen

Ghazal
Tanhai ka gham Dhoen aur ro ro ji halkan karen
Shakir Khaliq