tanhai ka dukh gahra tha
main dariya dariya rota tha
ek hi lahar na sambhali warna
main tufanon se khela tha
tanhai ka tanha saya
der se mere sath laga tha
chhoD gae jab sare sathi
tanhai ne sath diya tha
sukh gai jab sukh ki Dali
tanhai ka phul khila tha
tanhai mein yaad-e-KHuda thi
tanhai mein KHauf-e-KHuda tha
tanhai mehrab-e-ibaadat
tanhai mimbar ka diya tha
tanhai mera pa-e-shikasta
tanhai mera dast-e-dua tha
wo jannat mere dil mein chhupi thi
main jise bahar DhunD raha tha
tanhai mere dil ki jannat
main tanha hun main tanha tha
Ghazal
Tanhai ka dukh gahra tha
Nasir Kazmi