tanha nahin hun gar dil-e-diwana sath hai
wo harzah-gard hun ki pari-KHana sath hai
hangama ek pari ki sawari ka dekhna
kya dhum hai ki saikDon diwana sath hai
dil mein hain lakh tarah ke hile bhare hue
phir mashwara ko aaina o shana sath hai
roz-e-siyah mein sath koi de to jaaniye
jab tak farogh-e-shama hai parwana sath hai
deta nahin hai sath tahi-dast ka koi
jab tak ki mai hai shishe mein paimana sath hai
sikha hun mai-kade mein tariq-e-farotani
jab tak ki sar hai sajda-e-shukrana sath hai
jo be-basar hain DhunDte phirte hain dur dur
aur har qadam pe jalwa-e-jaanana sath hai
kya KHauf ho hamein zan-e-duniya ke makr ka
apni madad ko himmat-e-mardana sath hai
gham ki kitab se dil-e-sad-para kam nahin
jis bazm mein gae yahi afsana sath hai
manind-e-gard-baad hun KHana-ba-dosh main
sahra mein hun magar mera kashana sath hai
Ghazal
Tanha nahin hun gar dil-e-diwana sath hai
Nazm tabaa-tabaa.ii