tanha hue KHarab hue aaina hue
chaha tha aadmi banen lekin KHuda hue
jab tak jiye bikharte rahe TuTte rahe
hum sans sans qarz ki surat ada hue
hum bhi kisi kaman se nikle the tir se
ye aur bata hai ki nishane KHata hue
pur-shor raston se guzarna muhaal tha
haT kar chale to aap hi apne saza hue
Ghazal
Tanha hue KHarab hue aaina hue
Nida Fazli