اردو हिंदी
Tang kamron mein hai mahbus faza ka matlab | Shaahi Shayari
tang kamron mein hai mahbus faza ka matlab

Ghazal

Tang kamron mein hai mahbus faza ka matlab

Zakauddin Shaya.n

;

tang kamron mein hai mahbus faza ka matlab
kaun samjhega yahan taza hawa ka matlab

phul se chehre pe bhi lafz-ba-lafz ubhra hai
zard hoti hui tahrir-e-hina ka matlab

aankhen KHwabon ke waraq chehra haqiqat ki kitab
hum hi KHud paDh na sake us ki wafa ka matlab

reg-e-sahil pe qalam-band kiya hai kis ne
shab ke jismon ka bayan raqs-e-saba ka matlab

rang-e-hairat mein paDe hain nahin wazeh hota
taza phulon pe kisi aabla-pa ka matlab