tamhid-e-sitam aur hai takmil-e-jafa aur
chakhne ka maza aur hai pine ka maza aur
donon hi bina-e-kashish-o-jazb hain lekin
naghmon ki sada aur hai nalon ki sada aur
ai fitrat-e-gham zist hi kya kam thi musibat
nazil hui is par ye mohabbat ki bala aur
Takra ke wahin TuT gae shisha-o-saghar
mai-KHwaron ke jhurmuT mein jo saqi ne kaha aur
wo KHud nazar aate hain jafaon pe pasheman
kya chahiye ab tum ko 'shakil' is ke siwa aur
Ghazal
Tamhid-e-sitam aur hai takmil-e-jafa aur
Shakeel Badayuni